Roman script

ek din ek arman bhara dil 

ek din ek arman bhara dil 

ulfat se do char hua

ek din ek arman bhara dil 

ek nayi duniya jo dekhi

us duniya se pyar hua

ek din ek arman bhara dil 

haskar kan me aasha boli

ye sab duniya teri hai

tere liye hi zindagi maine

charo aur bikheri hai

paake sahara aasha ka dil

paake sahara aasha ka dil

jine ko tyar hua

ek din ek arman bhara dil

ek din kismat dil se boli

pal raha hai mushkil tu

dekh raha hai khwab suhane

pagle nahi is kabil tu

haye lakh kaha kismat na mani

haye lakh kaha kismat na mani

kahna sab bekar hua

ek din ek arman bhara dil

pyar ka mara dil bechara

kismat ko na sambhal saka

apni dunia dekh saka na

apna aap sambhal saka

tut gaya kismat ka mara

tut gaya kismat ka mara

marna bhi dushwar hua

ek din ek arman bhara dil

ek din ek arman bhara dil

ulfat se do char hua

ek din ek arman bhara dil

Explore this song