Roman script

are he ek din aasmaan se pari aayegi

laut ke phir na waapas kabhi jaayegi

are he uski khaamosh aahat ko sunta hoon main

raat din, har ghadi, lamha lamha intzaar hai usi ka

are he ek din aasmaan se pari aayegi

phoolo se wo aashna 

kaliyon se hogi narm wo

dekhunga jab main use, mujhse karegi sharm wo

sharmaa ke naajuk adaa se

ghabaraa ke behki haya se

julfon ki bheegi ghata se, hontho ki sehmi sada se

mere dil pe kayaamat si wo dhaayegi, aayegi

he ek din aasmaan se pari aayegi

laut ke phir na waapas kabhi jaayegi

are he uski khaamosh aahat ko sunta hoon main

raat din, har ghadi, lamha lamha intzaar hai usi ka

chaahat ki chunar saja ke

khwaabon ki mehendi rachaa ke

nazron ke najdik aake

in faaslon ko mitaake

wo dulhan bhi tere pyaar ke 

geet gaayegi, aayegi

he ek din aasmaan se pari aayegi

Explore this song