Roman script

ek baar suno sarkar

ek baar suno sarkar

mera dil dhak dhak dhak dhak

mera dil dhak dhak dhak dhak

mera dil dhak dhak karta hai

sau baar kaha bekar

sau baar kaha bekar

bata kyo bak bak bak bak

bata kyo bak bak karta hai

mast ada ki machhli teri

aankho me balkhaye hai

dekh ke jisko, dil ka bagla

gash kha ke, gir jaye hai

ajab hai iski haalat

ye na jeeta hai, na marta hai

bata kyo bak bak bak bak

bata kyo bak bak karta hai

tere dil me mail hai 

tu mujhse, chaale chalta hai

girgat ki bhanti tu pal me

sau sau rang badlta hai

jaan liya hai tuhjko maine

kaahe chak chak karta hai

mera dil dhak dhak dhak dhak 

mera dil dhak dhak karta hai

dil ko dhobi ke paate par 

sabun se dhulwaya hai

patak patak kar, is par tere

pyar ka rang chadhaya hai

dekh le bilkul saaf hai

jaise shisha lak lak karta hai

bata kyo bak bak bak bak

bata kyo bak bak karta hai

ek baar suno sarkar

ek baar suno sarkar

mera dil dhak dhak dhak dhak

mera dil dhak dhak dhak dhak

mera dil dhak dhak karta hai

sau baar kaha bekar

sau baar kaha bekar

bata kyo bak bak bak bak

bata kyo bak bak karta hai

Explore this song