Roman script

ek ajnabi hasina se yu mulakat ho gayi

ek ajnabi hasina se yu mulakat ho gayi

phir kya huwa yeh na puchho, kuchh aisi baat ho gayi

ek ajnabi hasina se yu mulakat ho gayi

woh achanak aa gayi, yu najar ke samane

jaise nikal aaya ghata se chand

woh achanak aa gayi, yu najar ke samane

jaise nikal aaya ghata se chand

chehre pe julfe, bikhari huyi thi, din me raat ho gayi

ek ajnabi hasina se yu mulakat ho gayi

janeman janejigar hota me shayar agar

kahata gazal teri adao par

janeman janejigar hota me shayar agar

kahata gazal teri adao par

maine yeh kaha toh mujhse khafa woh janehayat ho gayi

ek ajnabi hasina se yu mulakat ho gayi

khubsurat baat yeh char pal ka sath yeh

sari umar mujhko rahega yaad

khubsurat baat yeh char pal ka sath yeh

sari umar mujhko rahega yaad

mai akela tha magar, ban gayi woh hamsafar, wo mere sath ho gayi

ek ajnabi hasina se yu mulakat ho gayi

Explore this song