Roman script

duniya walo aaj ye dekho
kya takdeer ke ghere hai 
sang naag ke aaj le rahi 
sati suhagan fere hai
waah ro kismat is jivan mein
kya kya rang dikhati 
dhany ye sati jisne apna
naag banaya sathi
nagari nagri dware dware gali gali
apne pati ka mangal karne
sati chali sati chali
ek suhagan sati chali
dhup chhav aur sardi garmi
sab kuch raah mein jhele
dar dar bhatke haye ri kismat
kaisa khel ye khele
chali ja rahi hai shulo par
jo kabhi thi phulo mein pali
jo kabhi thi phulo mein pali
nagari nagri dware dware gali gali
apne pati ka mangal karne
sati chali sati chali
jati sati saadhu sanyasi
sab se puch rahi hai
kaise sankat tale pati ka
yukti dhundh rahi hai
kaise fir aaye parbhat 
kaise fir aaye parbhat 
jivan mein ye sanjh dhali hai
jivan mein ye sanjh dhali hai
nagari nagri dware dware gali gali
apne pati ka mangal karne
sati chali sati chali

Song details

Song video

Watch on YouTube