Roman script

jab tum jag me aaye the

jag hansmukh tum roye

aisi karni kar chalo

tum hansmukh jag roye

aa na mane

ho sakta hai kaanto se bhi phul ki khushbu aaye

duniya na mane, duniya na mane

ho sakta hai sagar bhi mitha pani ban jaye

duniya na mane, duniya na mane

ye duniya chand lakire khenche aur chalti jaye

na mane kabhi kisi ki

bas apni hi manwaye

ho sakta baat pate ki pagal bhi kah jaye

duniya na mane, duniya na mane

girte ko sabne dekha par kisne diya sahara

chamke to tara mane aur tute to angara

ho sakta hai angara ek din shabnam ban jaye

duniya na mane, duniya na mane

ho sakta hai kaanto se bhi phul ki khushbu aaye

duniya na mane, duniya na mane

ho sakta hai sagar bhi mitha pani ban jaye

duniya na mane, duniya na mane

Explore this song