Roman script

duniya ki halat naram naram

ho duniya ki halat naram naram

halwa chhodo puri chhodo 

bhajiye khalo garam garam

ho duniya ki halat naram naram

tune bhi muft ki khai hai

kya tu bhi mera bhai hai

o kya tu bhi mera bhai hai

meri hi tarah honge mistar

tere pichhle janam ke karam karam

ho munna pichhle janam ke karam karam

ho duniya ki halat naram naram

halwa chhodo puri chhodo 

bhajiye khalo garam garam

duniya ki halat naram naram

hum tumko kaha se de bhiksha

jakar ke khencho riksha

ho munna jakar ke khencho riksha

mat desh pe apne bojh bano

hai yahi hamara dharam dharam

hai yahi hamara dharam dharam

hoye duniya ki halat naram naram

halwa chhodo puri chodo

bhajiya khalo garam garam

duniya ki halat naram naram

chaar aane me insan bike

do aane me imaan bike

chaar aane me insan bike

do aane me imaan bike

ek aane me bhagwan bike

aye duniya walo shame shame shame

aye duniya walo sharam sharam

o duniya ki halat naram naram

halwa chhodo puri chhodo 

bhajiye khalo garam garam

duniya ki halat naram naram

Explore this song