Roman script

duniya ka mela mele me ladki

ladki akeli sanno naam uska

duniya ka mela mele me ladki

ladki akeli sanno naam uska

gaal uske gulabi chal uski sarabi

o babu o lala sabko salam uska

duniya ka mela mele me ladki

ladki akeli sanno naam uska

tauba o mere tauba karte hai sab ishare

tauba o mere tauba

kiski taraf vo dekhe aashiq hai uske sare

kiski taraf vo dekhe

sabki aankho me baske sabko dekhe vo has ke

sabka dil bahlana jo thahra kaam uska

duniya ka mela mele me ladki

ladki akeli sanno naam uska

kahte hai log uski jadu bari hai baate

kahte hai log uski

aankho me har kisi ki katne lagi hai raate

aankho me har kisi ki

nind uski udaye chain uska churaye

aaj kal shahar me hai charcha naam uska

duniya ka mela mele me ladki

ladki akeli sanno naam uska

dekho to ek tamasha khub ban gaya hai

dekho to ek tamasha

har ek hasi ka mahbub ban gaya hai

har ek hasi ka

koi aankhe bichaye naaz koi uthaye

jaise har koi ashiq hai gulam uska

duniya ka mela mele me ladki

ladki akeli sanno naam uska

gal uske gulabi chal uski sarabi

o babu o lala sabko salam uska

duniya ka mela mele me ladki

ladki akeli sanno naam uska

Explore this song