Roman script

dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana

ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana

dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana

ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana

dada hai aate the jab mitti ka ek ghar tha

choron ka koi ghatka na dakuon ka dar tha

khaate the rookhi sookhi sote the neend gehri

shaamein bhari bhari thi aabaad thi dupehri

santosh tha dilon ko maathe pe bal nahi tha

dil mein kapat nahi tha aankhon mein chhal nahi tha

hain log bhole bhale lekin the pyaar wale

duniya se kitni jaldi sab ho gaye ravaana

dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana

ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana

ab kya waqt aaya taaleem ghar mein aayi

ab kya waqt aaya taaleem ghar mein aayi

taaleem saath apni taaza vichaar laayi

aage rawayaton se badhne ka dhayaan aaya

mitti ka ghar hata to pakka makaan aaya

daftar ki naukri thi tangah ka sahara

maalik pe tha bharosa ho jaata tha guzara

paisa agar chekam tha phir bhi na koi gham tha

kaisa bhara poora tha apna gareeb khana

dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana

ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana

ab mera daur hai yeh koyi nahi kisi ka

ab mera daur hai yeh koyi nahi kisi ka

har aadmi akela har chehra ajnabee sa

aansoon na muskuraahat jivan ka haal aisa

apni khabar nahi hai maya ka jadoo aisa

paisa hai martaba hai izzat wikar bhi hai

naukar hain aur chaakar bangla hai car bhi hai

ghar paas hai zameen hai lekin sakoon nahi hai

paane ke vaaste kuch kya kya pada gavaana

dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana

ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana

aye aane wali naslon aye aane wale logon

bhoga hai humne jo kuch woh tum kabhi na bhogo

jo dukh tha saath apne tumse kareeb na ho

peeda jo humne jheli tumko naseeb na ho

jis tarah bheed mein hum zinda rahe akele

woh zindagi ki mehfil tumse na koyi le le

tum jis taraf se guzro mela ho roshni ka

raas aaye tumko mausam ki ruswi ka

hum to sakoon ko tarse tum par sakoon barse

anand ho dilon mein jivan lage suhaana

dukh sukh tha ek sabka apna ho ya begaana

ek woh bhi tha zamaana ek yeh bhi hai zamaana

Explore this song