Roman script

dukh sukh tha ek sabka

apna ho ya begaana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

dukh sukh tha ek sabka

apna ho ya begaana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

dada hayaat the jab mitti ka ek ghar tha

choro ka koi khatka na dakuo ka dar tha  

khate the rukhi sukhi sote the neend gahri

shaame bhari bhari thi aabad thi dopahri 

santosh tha dilon ko maathe pe bal nahi tha 

dil mein kapat nahi tha aankhon mein chaal nahi tha 

the log bhole bhale lekin the pyar wale

duniya se kitni jaldi sab ho gaye ravana

dukh sukh tha ek sabka

apna ho ya begaana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

abakha  ka waqt aaya taalim ghar mein aayi

abakha ka waqt aaya taalim ghar mein aayi

taalim sath apni taaza vichar laayi

aage rawayato se badhne ka dhyan aaya

mitti ka ghar hata to pakka makaan aaya

daftar ki naukri thi tankhwah ka sahara

maalik pe tha bharosa ho jata tha gujara

paisa agar ch kam tha phir bhi na koi gam tha 

kaisa bhara pura tha apna gareeb khana 

dukh sukh tha ek sabka

apna ho ya begaana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

ab mera daur hain ye koi nahi kisi ka 

ab mera daur hain ye koi nahi kisi ka

har aadmi akela har chehra ajnabi sa 

aansu na muskurahat jeevan ka haal aisa 

apni khabar nahi hain maya ka jaal aisa

paisa hain martaba hain ijjat vi kor bhi hain

naukar hain aur chakar bangla hain car bhi hain

jar paas hain jami hain lekin sukoon nahi hai

paane ke waste kuch kya kya pada gawana 

dukh sukh tha ek sabka

apna ho ya begaana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

ae aane wali naslo ae aane wale logon

ae aane wali naslo ae aane wale logon

bhoga hain humne jo kuch wo tum kabhi na bhogo

jo dukh tha sath apne tum se kareeb na ho

peeda jo humne jheli tumko naseeb na ho

jis tarah bheed mein hum jinda rahe akele

wo jindagi ki mehfil tumse na koi lele

tum jis taraf se gujro mela ho roshni ka 

raas aaye tumko mausam ikkisvi sadi ka

hum to sukoon ko tarse tum par sukoon barse

anand ho dilon mein jeevan lage suhana

dukh sukh tha ek sabka

apna ho ya begaana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

dukh sukh tha ek sabka

apna ho ya begaana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

ek wo bhi tha zamana

ek ye bhi hain zamana

Explore this song