Roman script

dub gaye 
dub gaye aakaash ke taare
jaake na tum aaye
takte takte nainaa haare
jaake na tum aaye
dub gaye aakaash ke taare
ruth gai baago se bahaare
ruth gai baago se bahaare
phail gae patajhad ke saaye
lekin tumako apane vaade
lekin tumako apane vaade
bhule se bhi yaad na aaye
dub gaye 
dub gaye aakaash ke taare
bahate bahate chaand ki kashti
dur gagan me khone lagi
bahate bahate chaand ki kashti
dur gagan me khone lagi
aas ki ek nanhi si kiran thi
aas ki ek nanhi si kiran thi
wo bhi ojhal hone lagi
dub gaye
dub gaye aakaash ke taare
jaake na tum aaye
takte takte nainaa haare
jaake na tum aaye
dub gaye aakaash ke taare

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Nargis, Nasir Khan