Roman script

do pyar karne wale jungle me kho gaye

baghee bane pagal bane divane ho gaye

kaho abb kya kare kare abb kya kare

arre abb kya kare ajee abb kya kare

do pyar karne wale jungle me kho gaye

baghee bane pagal bane divane ho gaye

darr lagta hai yar kahee na sher aa jaye

paake akele me na ham dono ko kha jaye

dekhega jo tujhko tujhpe mar jayega

meree jan pe woh apni bhee jan lutayega

tere husn ke jadu se woh bach nahee payega

dare ham kyon dare bhala ham kyon dare

arre ham kyon dare ajee ham kyon dare

do pyar karne wale jungle me kho gaye

baghee bane pagal bane divane ho gaye

hamne suna toh par purane log kehte hain

aise ghane jungle me kale bhut rehate hain

tere naino se agar woh naino ko ladayega

tir nigahon ka usake dil me gadh jayega

tere ishq ka bhut bhuto pe chadh jayega

galey milke galey chale aasheek chale

chale milke chale divane ham chale

do pyar karne wale jungle me kho gaye

baghee bane pagal bane divane ho gaye

kaho abb kya kare kare abb kya kare

arre abb kya kare ajee abb kya kare

do pyar karne wale jungle me kho gaye

ek doosre ke pyar me divane ho gaye

Explore this song