Roman script

dilruba aa meri baho me aa
dilruba aa meri baho me aa
baho me kya in nigaho me kya 
mai tere dil me piya
dilruba aa meri baho me aa
baho me kya in nigaho me kya 
mai tere dil me piya
itni khushi kisliye mausam ne jadu kiye
itni khushi kisliye mausam ne jadu kiye
aaj sham tu mere paas hai
tu paas hai fir bhi pyas hai
is pyas me pyar ka hai maja
tujhko nahi ye pata dilruba
do din jamana hai ye acha bahana hai ye
do din jamana hai ye ye bahar to chali jayegi
chali jayegi fir wapis aayegi
ruk ke isi aane jane me hi jiwan gujar jayegi
dilruba aa meri baho me aa
baho me kya in nigaho me kya 
mai tere dil me piya

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Lata Mangeshkar, Kishore Kumar