Roman script

dilbar se pyar chupane me bada maza hai

dilbar se pyar chupane me bada maza hai

kuch din ye takrar chalegi

shama aur parwane me bada maza hai

dilbar se pyar chupane me bada maza hai

ummido ka gulshan mahke

dil me sokh tamanna chahke

aye meri manzil samne aaja

aaj kadam mere bahke bahke

husn ki dunia jhum rahi hai

laga hai teer nishane me bada maza hai

dilbar se pyar chupane me bada maza hai

wo paas aaye mai ghabrau

sahmu simtu aur sarmaau

kisko diya hai pyar bhara dil

puchhe bhi to mai na batau

hoti hai taskin mohabbat

ban ban ke sarmane me bada maza hai

dilbar se pyar chupane me bada maza hai

dil mera jhume shaam suhani

mastaye lahraye jawani

aaja o tadpane wali

meri umange hai diwani

chhalak rahe hai jaam nazar me

aankho ke maykhane me bada maza hai

dilbar se pyar chupane me bada maza hai

kuch din ye takrar chalegi

shama aur parwane me

dilbar se pyar chupane me bada maza hai

Explore this song