Roman script

dilaruba maine tere pyar me 
kya kya na kiya dil diya dard liya
dil diya dard liya kabhi phulo me guzari 
kabhi kanto me jiya dil diya dard liya 
dil diya dard liya 
zindagi aj bhi hai bekhudi aj bhi hai
pyar kahte hai jise vo khushi aj bhi hai
maine din-rat mohabbat ka teri jam piya
dil diya dard liya dil diya dard liya 
dilaruba maine tere pyar mekya kya na kiya
dil diya dard liya dil diya dard liya
kya kahun tere liye maine ansu bhi piye
kabhi khamosh raha kabhi shikve bhi kiye
kar liya chaq gareba kabhi daman ko siya
dil diya dard liya dil diya dard liya 
dilaruba maine tere pyar me kya kya na kiya 
dil diya dard liya dil diya dard liya
pyar ki jaan hai tu dil ka arman hai tu
kaun duniya se dare jab nigehaban hai tu
apni kashti ko sahare pe tere chhod  diya
dil diya dard liya dil diya dard liya 
dilaruba maine tere pyar me kya kya na kiya 
dil diya dard liya dil diya dard liya
kabhi phulo me guzari kabhi kanto me jiya
dil diya dard liya dil diya dard liya

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Dilip Kumar, Waheeda Rehman, Pran