Roman script

dilwaalo ko is duniya me 
pyar ke siva koi kaam nahi 
ye duniya hai wo duniya 
jaha subah nahi aur shaam nahi 
ae o ae haaye o dilwaalo ko is duniya me 
pyar ke siva koi kaam nahi 
di ko tumhaara sahaara naa hota 
to jeena humaara humaara naa hota 
mohabbat ki manjil na aasan hoti 
jo teri najar ka ishaara naa hota 
ae o ae o haaye o dilwaalo ko is duniya me 
pyar ke siva koi kaam nahi 
bada khubasurat ye mera humsafar hai 
ye jaane tamanna ye jaane jigar hai 
tumhaari inaayat se aabad hai dil 
nahi hai ye mera tumhaara hi ghar hai 
ae o ae haaye o dilwaalo ko is duniya me 
pyar ke siva koi kaam nahi 
mohabbat ki rashme nibhaayenge hum tum 
wafaa cheej kya hai dikhayenge hum tum 
hawaao me halchal macha ke jo rakh de 
hawaao me halchal macha ke jo rakh de 
milne ke wo nagme sunaayenge hum tum 
ae o ae haaye o dilwaalo ko is duniya me 
pyar ke siva koi kaam nahi

Song details

Song video

Watch on YouTube