Roman script

dil tha khilauna, chalo tut gaya, kya kahein

koyi saathi tha, jise chaaha tha

wo hi lut gaya kya kahein

titaliyaan yaadon ki udti jaaye

rango mein mujhse kuch kehti jaaye

ek jhil thi, kayi phul the

sab mit gaye kya kahein

chaaha tha kehna, na kaha, chup rahe

raaho mein tanha chalte hi hum rahe

titaliyaan yaadon ki udti jaaye

rango mein mujhse kuch kehti jaaye

ghirti kirane, tera aanchal

kaise bhulein, kya kahe

gaati koyal, mehka aangan

kaise bhulein, kya kahe

titaliyaan yaadon ki udti jaaye

rango mein mujhse kuch kehti jaaye

teri chah thi, meri roshni

ab bujh gayi, kya kahe

dil tha khilauna, chalo tut gaya, kya kahein

Explore this song