Roman script

dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya

duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

saanso ki aanch paa ke bhadakta rahega ye

sine mein dil ke saath dhadakta rahega ye

dhadakta rahega ye

wo naksh kyaa huaa jo mitaye se mit gayaa

wo dard kyaa huaa jo dabaaye se dab gayaa

dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya

duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

ye jindagi bhi kyaa hain amaanat unhi ki hain

ye shaayari bhi kyaa hain inaayat unhi ki hain

inaayat unhi ki hain

ab wo karam kare ke sitam unka faislaa

hum ne to dil mein pyaar kaa shola jagaa liyaa

dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya

duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

Explore this song