Roman script

dil ko ye kya hua, taaro ki chhaon me

mehki hawao me

chhupke se kho gaya, dil

dil chhupke se kho gaya

dil ko ye kya hua

maine khushi ka dekha savera

jaga ujala, duba andhera

mausam bhi hai jawa, jhume hai aasma

rangin fijaao me, chhupke se kho gaya, dil

dil chhupke se kho gaya

dil ko ye kya hua

meri nazar me hai vo nazare

diwana kar de jinke ishaare

sagar pe jhum ke, lehro ko chum ke

sapno ke gaon me chupke se kho gaya, dil

dil chhupke se kho gaya

dil ko ye kya hua

mujhko bulaaye phulo ki baahe

hansti hai mere jiwan ki raahe

sun ke bahaar ke, mastaana raagni

mithi sadaao me chupke se kho gaya, dil

dil chhupke se kho gaya

dil ko ye kya hua

Explore this song