Roman script

dil ko gham-e-hayaat, ganwaara hai in dino

pehle jo dard tha, wahi chaara hai in dino

ye dil zara sa dil, teri yaadon me kho gaya

zarre ko aandhiyon ka sahara hai in dino

dil ko gham-e-hayaat, ganwaara hai in dino

tum aa sako to shab ko, badha du kuch aur bhi

apne kahe me subho ka taara hai in dino

dil ko gham-e-hayaat, ganwaara hai in dino

pehle jo dard tha, wahi chaara hai in dino

Explore this song