Roman script

dil ki halat jan gaye hum

najro ke sharmane se

chadta chand aur pyar dilo ka

chupta nahi chupane se

chupta nahi chupane se

dil hatho se nikal gaya to

kya hoga pachtane se

bade hai jalim dunia wale

darna jara zamane se 

darna jara zamane se 

najre uthao jara sadke tumhare

laaj bhare hai mere naina kunware

apno se kya sharmana chhodo ji hame satana

bada maza aata hai satane se

dil hatho se nikal gaya to

kya hoga pachtane se

bade hai jalim dunia wale

darna jara zamane se 

haske gale me dalo gori gori bahe

darti hu dekh na le kisi ki nigahe

dunia se kya ghabrana

rasta hai ye anjana

dil deke daro na jamane se

dil hatho se nikal gaya to

kya hoga pachtane se

bade hai jalim dunia wale

darna jara zamane se 

dil ki halat jaan gaye hum

najro ke sharmane se

chadta chand aur pyar dilo ka

chupta nahi chupane se

chupta nahi chupane se

Explore this song