Roman script

dil ka tattu ad jata hai 

gali dekh ke yaar ki galti nahi sawar ki

kabu pana hai to babu lagam lagao babu pyar ki

aisi gali me kyu jana jaha pe gadi ad hi jaye

hal tumhara kya hoga  jo chori pakadi jaye

samjh liya kya tumne tabela sadak ye sarkar ki

galti nahi sawar ki

kabu pana hai to babu lagam lagao babu pyar ki

mere hath lagam hai par mujse nahin sambhalta hai

kisi ki matwali nazar ke isharo pe ye chlta hai

na mange ye dana pani talab ise didar ki

galti nahi sawar ki

kabu pana hai to babu lagam lagao babu pyar ki

dil ka tattu bada nikhatu safar ka ye saman na dekhe

jungle regishtan naa dekhe 

na dekhe mehman ye ghar ka dar ka ye darbaan na dekhe

koso dur chala jata hai hasrat me didar ki

galti nahi sawar ki

kabu pana hai to babu lagam lagao babu pyar ki

dil ka tattu ad jata hai 

gali dekh ke yaar ki galti nahi sawar ki

kabu pana hai to babu lagam lagao babu pyar ki

Explore this song