Roman script

dil dhadke nazar sharmaye, dil dhadke nazar sharmaye

to samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya

dil dhadke nazar sharmaye

to samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya

raaton ko neend na aaye

to samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya

ho o ankhiyan din ko sapne dekhe paagal manwa dole

ho o meetha meetha dard uthe jab dil mein haule haule

aur yaad kisi ki aaye jiya bhar aaye

to samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya

dil dhadke pyaar ho gaya

chupke chupke mann mein laage armaanon ka mela

koi kisi ki yaad mein dooba baitha rahe akela

chupke chupke mann mein laage armaanon ka mela

koi kisi ki yaad mein dooba baitha rahe akela

tasveer si ek ban jaaye nazar na aaye

to samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya

dil dhadke nazar sharmaye

to samjho pyaar ho gaya, pyaar ho gaya

Explore this song