Roman script

dil chhed koi aisa nagama
gito me zamana kho jaaye 
dil chhed koi aisa nagama
ye aah meri duniya ke liye 
ye aah meri duniya ke liye 
kushiyo ka tarana ho jaaye 
dil chhed koi aisa nagama
aawaz mere tute dil ki
duniya ke dilo ko tadpa de
aawaz mere tute dil ki
duniya ke dilo ko tadpa de
patthar ka jigar bhi sunke jise
ek baar to pani ho jaaye 
dil chhed koi aisa nagama
hai jisne hume ye dard diya
hai jisne hume ye dard diya
hum usko duaaye dete hai
ye dard dawa ban jayega
ek din jo purana ho jaaye 
dil chhed koi aisa nagama
hai tujhko qasam ai dil ki jalan
aankho me na aansu aa jaye 
hai tujhko qasam ai dil ki jalan
aankho me na aansu aa jaye 
aisa na ho tere rone se
mahfil me tamasha ho jaaye 
dil chhed koi aisa nagama
gito me zamana kho jaaye 
dil chhed koi aisa nagama

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Ashok Kumar, Geeta Bali