Roman script

dil chaahata hai - (3)

sar phod jo daalu jo de bijalee kaa bil

dil chaahata hai, muh tod daalu jo de telephone bil

har mahine woh ghar pe aate, kadka hamko karke jaate

ek bill bharte hee dusara rehta hai aake khada

lut ke le ke jaaye bas chhod  ke badan pe kapda

dil chaahata hai, tax waalo ko kar du raato ke bill

dil chaahata hai, tax waalo ko kar du baato ke bill

khaane pe tax pine pe tax sone pe tax hai

janam pe tax jine pe tax marne pe tax hai

biwee pe tax bachho pe tax buddho pe tax hai

mehnat kee kamaayee phir le jaata income tax hai

dil chaahata hai

Explore this song