Roman script

dil apna aur prit parayi, kisne hai ye rit banayi

aandhi me ek dip jalaya, aur pani me aag lagayi

dil apna aur prit parayi, kisne hai ye rit banayi

dil apna

hai dard aisa ke sehna hain mushkil

duniya walo se kehna hain mushkil

ghir ke aaya hain tufan aisa

bach ke sahil pe rehna hain mushkil

ghir ke aaya hain tufan aisa

bach ke sahil pe rehna hain mushkil

dil apna aur prit parayi, kisne hai ye rit banayi

aandhi me ek dip jalaya, aur pani me aag lagayi

dil apna

dil ko sambhala na daman bachaya

failee jab aag tab hosh aaya

gam ke maare pukare kise hum

hum se bichhda hamara hi saya

gam ke maare pukare kise hum

hum se bichhda hamara hi saya

dil apna aur prit parayi, kisne hai ye rit banayi

aandhi me ek dip jalaya, aur pani me aag lagayi

dil apna

Explore this song