Roman script

dhup hai kya aur saya kya hai, ab malum hua

ye sab khel tamasha kya hai, ab malum hua

hanste phul ka chehra dekhu, aur bhar aayi aankh

apne saath ye kissa kya hai, ab malum hua

dhup hai kya aur saya kya hai, ab malum hua

hum barso ke baad bhi, usko ab tak bhul na paye

dil se uska rishta kya hai, ab malum hua

dhup hai kya aur saya kya hai, ab malum hua

sehra sehra pyaase bhatke, saari umar jale

baadal ka ik tukda kya hai, ab malum hua

dhup hai kya aur saya kya hai, ab malum hua

ye sab khel tamasha kya hai, ab malum hua

dhup hai kya aur saya kya hai, ab malum hua

Explore this song