Roman script

dhanya dhanya hai avadhpuri

dhanya waha ki phulwari

jaha ram ne janam liya hai

dhanya waha ke nar nari

dhanya waha ke nar nari

avadhpuri ke uttar disha

dariyo ki dhara bahti hai

raja dasrath raj kare aur

parja chain se rahti hai

parja chain se rahti hai

ann dhan se bharpur ayodhya

teen lok se hai nyari

jaha ram ne janam liya hai

dhanya waha ke nar nari

dhanya waha ke nar nari

cham cham karti chali kamini

hal solah singar kiye

aankho me sansar liye

hatho me sundar har liye

satvanti hai sabhi nariya

sat par apne balihari

jaha ram ne janam liya hai

dhanya waha ke nar nari

dhanya waha ke nar nari

ram lakhan aur bharat shatrughan 

char ratan hai raja ke

jinme sabse bade ram hai

pran pyare parja ke

pran pyare parja ke

ram liye dhanwan rakshaso ke

marne ki hai bari

jaha ram ne janam liya hai

dhanya waha ke nar nari

dhanya waha ke nar nari

Explore this song