Roman script

ajab reet duniya ki dekhi re bhaiya 

hui aaj insaan ki, kimat rupaiya 

dhanwalo ki duniya me 

bas itani pahchan hain 

paisa inka deen dharam hain 

paisa hi bhagwaan hain 

dahnwalo ki duniya me 

hay garibi nirdhan ko 

kya kya rup dikhati hain 

doli ke badle arthi 

baabul ke ghar se jati hain 

baabul ke ghar se jati hain 

dekho aaj garibi kaisi 

tadap rahi bejaan hain 

pyar ki daulat pa na saka jo 

wo kaisa dhanwaan hain 

dhanwalo ki duniya me 

jisne daulat ki khatir 

nirdhan ka dil tod diya

waqt ne deko aaj use 

kid mod pe la kar chhod diya 

kis mod pe la kar chhod diya 

kis par kaisa waqt aa jaye 

ye kisko pahchaan hain 

pyar ki daulat pa na saka jo 

wo kaisa dhanwaan hain 

dhanwalo ki duniya me 

maali ne dekho apne hi 

gulshan me aag lagai hain 

jo the apne apno se hi 

kaisi aaj judai hain

kaisi aaj judai hain 

pyar tu kar le insaano se 

kyun karta abhimaan hain 

jiske paas hain pyar ki daulat 

wo sachcha dhanvaan hain 

dhanwalo ki duniya me 

bas itani pahchan hain 

paisa inka deen dharam hain 

paisa hi bhagwaan hain 

dahnwalo ki duniya me

Explore this song