Roman script

devta raham kar rutha hain dilbar 

aao na sitamgar, main jagi raat raat bhar 

devta raham kar rutha hain dilbar 

aao na sitamgar, main jagi raat raat bhar

maangu main roz duaaye, usko bhi log sataye 

usko ho khabar, kya hain darde jigar 

kahe uski bhi nazar, main jaagi raat raat bhar 

devta raham kar rutha hain dilbar 

aao na sitamgar, main jagi raat raat bhar

jaa uske naam lagau, sau iljaam lagau 

kiye wade magar, wo gaya hain mukar 

isi gam me aksar, main jagi raat raat bhar 

devta raham kar rutha hain dilbar 

aao na sitamgar, main jagi raat raat bhar

koi bahana bana de, ruthe sanam ko mana de 

kabhi dale nazar, meri haalat par 

aai nindiya magr, main jagi raat raat bhar 

devta raham kar rutha hain dilbar 

aao na sitamgar, main jagi raat raat bhar

Explore this song