Roman script

kyun desh ko yaaro bechte ho, dharti ka sauda karte ho 

rab se bhi nahi tum darte ho, jara socho jara samjho 
sab duniya duniya karte hai, ye duniya to kuchh bhi nahi 
ek khwab hai saaya hai aakhir ye duniya to kuchh bhi nahi 
sab duniya duniya karte hai
kyun chain aman ki basti mein, nafrat ki aag jalate ho 
kuchh noto voto ke khatir, dange aur fasad karate ho 
aisa karke kya paate ho, tum kaise insaa ho 
sab duniya duniya karte hai, ye duniya to kuchh bhi nahi 
ek khwab hai saaya hai aakhir ye duniya to kuchh bhi nahi 
haivano se gaddaro se humko milke ladna hoga 
milke aage badhna hoga, ab darna tum chhodo 
sab duniya duniya karte hai, ye duniya to kuchh bhi nahi 
ek khwab hai saaya hai aakhir ye duniya to kuchh bhi nahi  
sukhdev bhagatsingh rajguru phir is dharti pe aayenge 

aazadi humko dilayenge hai humko ye bharosa 
sab duniya duniya karte hai, ye duniya to kuchh bhi nahi 
ek khwab hai saaya hai aakhir ye duniya to kuchh bhi nahi  
sab duniya duniya karte hai

Song details

Song video

Watch on YouTube