Roman script

dekho vo chand chupke karta hai kya ishare
dekho vo chand chupke karta hai kya ishare dekho
shayad ye keh raha hai ham ho gaye tumhare 
ho gaye tumhare ham ho gaye tumhare 
ho gaye tumhare dekho  
ulfat ka aaj hamne iqarar kar liya hai 
lekin ye kaun jane kismat me kya likha hai 
manjil ko chal pade hai taqdir ke sahare 
ho gaye tumhare dekho vo chand chupke 
karta hai kya ishare dekho
aisa na ho ki hamko raste me chhod  jao 
jakar kahi kisi ki duniya nayi basao 
majhdhar me rahe ham lag jao tum kinare 
ho gaye tumhare dekho vo chand chupke 
karta hai kya ishare dekho
dil me siva tumhare koi nahi hamare 
ye apne dil se pucho kya dil me hai tumhare 
dege meri gavahi kudrat ke ye nazare 
ho gaye tumhare dekho vo chand chupke 
karta hai kya ishare dekho

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Hemant Kumar, Lata Mangeshkar

actor: Shyama, Deepak