Roman script

waise toh kahene ko hai

meri raam kahaani

par har ek ladki ko lagegi

yeh jaani pahechaani

dekho ji dekho yeh meri sasural hai

ye teri sasural hai

dekho ji dekho yeh meri sasural hai

ye teri sasural hai

kahete hai log ke daal mein hai kaala

kahete hai log ke daal mein hai kaala

lekin yahaan toh poora gotala

saari ki saari kaali ye daal hai

dekho ji dekho yeh meri sasural hai

ye teri sasural hai

dekho ji dekho yeh meri sasural hai

ye teri sasural hai

are ladke ki shaadi mein bhanda paaye

kare hungama kare hungama

dheere dheere hota shuru unka

asli drama asli drama

ghar mein dulhan jab aati hai

kitane sagun manate hai

pahele phoolo ki baarish kare

phir ye bijali giraate hai

phir ye bijali giraate hai

kisse bahu ke maar

dharti hai har dam bete ke daan

ghar ko bana lete hai ye

ik mahabharat ka maidaan

haay sasuraal haay haay sasuraal

haay sasuraal haay haay sasuraal

yahaan par milta hai sada huaa maal

haay sasuraal haay haay sasuraal

are karte hai ladki ka jeena munhaal

haay sasuraal haay haay sasuraal

ye khote karm hai karte

nahin bhagwaan se darte

haay sasuraal haay haay sasuraal

haay sasuraal haay haay sasuraal

ho baari barsi khatan gaya si

khat ke leyandi ghaas

khat ke leyandi ghaas

baari barsi khatan gaya si

khat ke leyandi ghaas

kitna changa hota maa banti saans

ke main jooth boliya koina

ke main kafur koliya koina

deke main zaher goliyaan

koina bhai koina bhai koina

balle balle balle balle

jab jab sto fate koi toh

sirf bahu kyun jalti hai

sirf bahu kyun jalti hai

dariya yaa kue mein dubke

saans nanad nahin marti hai

bolo kyun nahin marti hai

paise ke khaatir iske maa baap

ko kosa jaata hai

ye hai cheez paraai ispe

koi taras nahin khata hai

lagta hai ke

lagta hai ke

bahu sabd mein hi shayd koi galti hai

bahu sabd mein galti hai

bahu sabd mein galti hai

unko na chhodungi jinki ye chaal hai

ye meri sasuraal hai ye teri sasuraal hai

ye meri sasuraal hai

ho saath vachan ka baandh ke bandhan

main bhi ek din aayi thi

in ki seva dharm hai mera

ye siksha main laayi thi

magar ye nanad saas dekho

ye kaikai aur manthara hai

sasur bhi nahin rati bhar

yeh duryodhan ki tarah hai

bete ki jaan bachane ko

bahu ka daav lagate hai

inhe ye khabar nahin ke

ye kitane paap kamate hai

kahet kabir suno bhai saadhu

kahet kabir suno bhai saadhu

karni ka phal paayega

boya ped babul ka phir

aam kahan se khayega

aam kahan se khayega

haath utha kar upar wale se

maangu main yahin duaan

aisa kisi ke saath nahin ho

jaisa iske saath hua

suno naariyon julm na sahena

yaad rahe mera sandesh

agar zaroorat pad jaaye toh

agar zaroorat pad jaaye toh

dhar lena chandi ka bhesh

mujhko sataye ab kiski majaal hai

ye mere sasuraal hai ye tere sasuraal hai

dekho ji dekho ye mere sasuraal hai

ye tere sasuraal hai

kahete hai log ke daal mein hai kaala

kahete hai log ke daal mein hai kaala

lekin yahaan toh poora gotala

saari ki saari hi kaali ye daal hai

yeh meri sasural hai

ye teri sasural hai.

Explore this song