Roman script

dekho bina saavan baras rahi badli  
piya ke daras ko taras rahi badli 
dekho bina saavan baras rahi badli 
pi bin duniya suni ho gayi 
mann ki pida duni ho gayi
mann ki pida duni ho gayi
sau gham jaage kismat so gayi 
chhalak rahi nainan ki gagri
dekho bina saavan baras rahi badli  
piya ke daras ko taras rahi badli 
rah gayi birhan haar piroti 
tute sapne bikhare moti
tute sapne bikhare moti
bichhad gayi dipak se jyoti
ujad gayi re mann ki nagri
dekho bina saavan baras rahi badli  
piya ke daras ko taras rahi badli 
iss duniya ne iss duniya ne pyaar 
hai chhina kab tak ro ro aansu pina
dur sajan se abb kya jina chhod  de abb 
to duniya pagli
dekho bina saavan baras rahi badli  
piya ke daras ko taras rahi badli

Song details

Song video

Watch on YouTube