Roman script

dekhiye jara pyar se, kyu khafa ho dildar se 
dekhiye jara pyar se, kyu khafa ho dildar se 
tum raaz-e-dil ko samjhe nahi 
nigaahe kahi hai nishana kahi 
dekhiye jara pyar se, kyu khafa ho dildar se 
jara ye aankh bharne do shama ko aur jalne do 
hakikat khul hi jayegi hamara rang badlne do 
tum raaz-e-dil ko samjhe nahi 
nigaahe kahi hai nishana kahi 
dekhiye jara pyar se, kyu khafa ho dildar se 
ishaaro se hi bahlaau kisi ke haath naa aau 
hawa ka ek jhonka hu jara chhu ke gujar jaau 
tum raaz-e-dil ko samjhe nahi 
nigaahe kahi hai nishana kahi 
dekhiye jara pyar se, kyu khafa ho dildar se 
na badlegi wafa meri na badlegi adaa meri 
jo dil se jaake milati hai wo milakat ki hai raah meri 
tum raaz-e-dil ko samjhe nahi 
nigaahe kahi hai nishana kahi 
dekhiye jara pyar se, kyu khafa ho dildar se
dekhiye jara pyar se, kyu khafa ho dildar se

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Sanjeev Kumar, B M Vyas, L. Vijayalaxmi