Roman script

daulat ke andhere me tera kho gaya iman

tujhko na rahi apne paraye ki bhi pehchan

magrur na ho magrur na ho 

apne mukaddar o nadan 

allah ki nazro me barabar hai sab insan

allah ki nazro me barabar hai sab insan

duniya ka ajab rang nazar aane laga hai

ek bhai hai jo bhai se takrane laga hai

ek beta hai jo ma ko bhi thukrane laga hai

afsosh ke insan bana jata hai saitan

allah ki nazro me barabar hai sab insan

allah ki nazro me barabar hai sab insan

zalim ko har ek zulm se baz aana padega

luti huyi har chij ko lautana padega

insaf ki aawz pe jhuk jana padega

kudrat ka ye kanun badalna nahi aasan

allah ki nazro me barabar hai sab insan

allah ki nazro me barabar hai sab insan

ye saz ye mehfil ye tarane na rahenge 

ye husno mohabbat ke fasane na rahenge

jo aaj hai kal tak wo zamane na rahenge

mit jayenge ek pal me gunaho ke ye sama

allah ki nazro me barabar hai sab insan

allah ki nazro me barabar hai sab insan

allah ki nazro me barabar hai sab insan

Explore this song