Roman script

om hun hun hunkara suniyo meri naath kripala

da da dum dumroo jab baaje ta ta tarh papi sab kampe

parwat pe ho baithe jake dhuni ramaye bhasm lagaye

jab jab paap ka badhta saya tab tab bajta naad tumhara

dum dum dum dum dum dum dum dum  dumroo jab baaje

dum dum dum dum dum dum dum dum dumroo jab baaje

sabko ek samaan bana ya koi hai paya koi gawaya

koi ujale me hai samaya kisi ne andhera apnaya

koi tapasvi koi shikari koi hai danav koi pujar 

dono beej hai tujhme samaye jo tu boye so tu khaye

om hun hun hun hun kara raat hui to subha bhi aa raha

da da dar dar jaye andhera, kirno ka jab aaye sawera

koi to hai jo dekh raha hai paap aur punya ko tol raha hai

jab jab paap ka wajan badha hai 

tab tab naad ka shor macha hai

sukh dukh ka hai khel rachaya

kabhi jitaya kabhi haraya jisne bhi tujhko apnaya

usko tune paar lagaya

koi sakara koi nakara dumroo ka hai khela  sara

kabhi to sukh hai , kabhi jo dukh hai

dono miley to tera rukh hai

om hun hun hunkara ab to sunlo nath kripala

da da dum dumroo bajaketa ta thar trishool ghuma ke

parwat par mat baitho jaake aajao ab dhuni laga ke

paap hi paap ka badh ta saya  

dum dum dum dum dum dum dum  dumroo jab baaje

dum dum dum dum dum dumroo jab baaje

koi to hai jo dekh raha hai paap aur punya ko tol raha hai

jab jab paap ka vajan badha hai

tab tab naad ka shor macha hai

koi to hai jo dekh raha hai

Explore this song