Roman script

charaag dil ke jalaao ki id kaa din hai

taraane jhum ke gaao ki id kaa din hai

gamo ko dil se bhulaao ki id kaa din hai

khushi se bazm sajaao ki id kaa din hai

taraane jhum ke gaao ki id kaa din hai

huzur us ke karo ab salaamati ki duaa

sar-e-niyaaz jhukaao ki id kaa din hai

taraane jhum ke gaao ki id kaa din hai

sabhi muraade ho puri har ek savaali ki

duaa ko haath uthaao ki id kaa din hai

taraane jhum ke gaao ki id kaa din hai

Explore this song