Roman script

chingaari koi bhadke

chingaari koi bhadke, to saavan use bujhaaye

saavan jo agan lagaaye,  use kaun bujhaaye

ho use kaun bujhaaye

patjhad jo baag ujaade, vo baag bahaar khilaaye

jo baag bahaar me ujde, use kaun khilaaye

ho use kaun khilaaye

humse mat puchho kaise, mandir tuta sapno ka

humse mat puchho kaise, mandir tuta sapno ka

logo ki baat nahi hai, ye kissa hai apno ka

koi dushman thes lagaaye, to meet jiyaa behlaaye

manmeet jo ghaav lagaaye, use kaun mitaaye

na jaane kya ho jaata, jaane hum kyaa kar jaate

na jaane kya ho jaata, jaane hum kyaa kar jaate

peete hai to zinda hai, na peete to mar jaate

duniya jo pyaasa rakhe, to madira pyaas bujhaaye

madira jo pyaas lagaaye, use kaun bujhaaye

ho use kaun bujhaaye

maana tufaan ke aage, nahi chaltaa zor kisi kaa

maana tufaan ke aage, nahi chaltaa zor kisi kaa

maujo kaa dosh nahi hai,  ye dosh hai aur kisi ka

majdhaar me naiyaa dole,  to maajhi paar lagaaye

maajhi jo naav duboye, use kaun bachaaye

ho use kaun bachaaye, chingaari

Explore this song