Roman script

jaha bachpan bitaya aaj wo aangan paraya hai
chali beti to kya rona ke beti dhan paraya hai
ke beti dhan paraya hai chhod  babul ka ghar aangana
aaj doli chali doli leke chale sajna 
kon roke sakhi chhod  babul ka ghar aangana
kaisa duniya ka dastur hai chhod  jane pe majbur hai
ma ke dil ki kali bap ki ladli rote rote bhai bawri
chhod  babul ka ghar aangana
ladli tu jaha bhi rahe sara jivan khushi me kate
gam hi gam hai mujhe du to kya du tujhe
sath le ja duaaye meri chhod  babul ka ghar aangana
aaj doli chali doli leke chale sajna
doli leke chale sajna doli leke chale sajna

Song details

Song video

Watch on YouTube