Roman script

chhin ke dil kyun pher li aankhe jaan gaye ham jaan gaye

laakh adaaye dekhne waale ye bhi ada pehchaan gaye

ham hai tumhaare chaahne waale hamko na tum barbaad karo

dil ne kiya tha dil se jo vaada yaad karo haan yaad karo

haay zara si baat ka bolo aaj bura kyun maan gaye

aankh me shokhi dil me muhabbat dil hai kahi nazre hai kahi

aise chale ho bhed chhupakar jaise hame maalum nahi

tumko qasam hai ab na sataao aaj tumhe ham maan gaye

chhin ke dil kyun pher li aankhe jaan gaye ham jaan gaye

ho na kahi badnaam mohabbat dekho-dekho zubaan se 

kuchh na kaho, kuchh na kaho

pyaar ka nagma hamko suna ke lutne waale tum hi kaho

tumne hame pehchaan liya to ham bhi tumhe pahechaan gaye

chhin ke dil kyun pher li aankhe jaan gaye ham jaan gaye

Explore this song