Roman script

chandrma ki chandani se bhi naram

aur ravi ke bhaal se jyada garam 

hain nahi kuch aur keval pyar hain 

keval pyar hain 

dhundhne ko main amrtimy swar naya 

sindhu ki gahraaiyon mein bhi gaya 

dhundhne ko main amrtimy swar naya 

sindhu ki gahraaiyon mein bhi gaya 

mauth bhi mujhko mili thi raah par 

dekh mujhko rah gayi thi aah bhar 

mushkilon ko jo dikhata raasta 

maut pe jiska nahi kuch vaasta 

wo nahi kuch aur keval pyar hain 

keval pyar hain 

man hua mera ke ishwar se kahun 

dur tumse aur kitne din rahun 

man hua mera ke ishwar se kahun 

dur tumse aur kitne din rahun 

dekh kar mujhko hansi lachariyan 

aur duniya ne bajaai taaliyan 

patharon ko jo banata devta 

janti duniya nahi jiska pata 

wo nahi kuch aur keval pyar hain 

keval pyar hain 

chandrma ki chandani se bhi naram

aur ravi ke bhaal se jyada garam 

hain nahi kuch aur keval pyar hain 

keval pyar hain 

keval pyar hain keval pyar hain 

keval pyar hain keval pyar hain 

keval pyar hain keval pyar hain 

keval pyar hain keval pyar hain

Explore this song