Roman script

chandi luta le chahe sona baha le

kismat ka likha hua tale na taale

chandi luta le chahe sona baha le

kismat ka likha hua tale na taale

wo hai khiladi tu hai khilona

jiwan hai tera honi ka hona

hasna aur rona

wo hai khiladi tu hai khilona

jiwan hai tera honi ka hona

hasna aur rona

tilak lagale chahe ganga nahale

kismat ka likha hua tale na taale

chandi luta le chahe sona baha le

kismat ka likha hua tale na taale

faslo ki bali phulo ki pyali

karta wahi hai bhar bhar ke khali

chandi ki thali

faslo ki bali phulo ki pyali

karta wahi hai bhar bhar ke khali

chandi ki thali

kagaz likha le chahe pothi chhapa le

kismat ka likha hua tale na taale

chandi luta le chahe sona baha le

kismat ka likha hua tale na taale

matlab ke phere me mai mai na karna

na jane kab ho tujhko gujarna

jite jee marna

matlab ke phere me mai mai na karna

na jane kab ho tujhko gujarna

jite jee marna

jantar jagale chahe mantar padhale

kismat ka likha hua tale na taale

chandi luta le chahe sona baha le

kismat ka likha hua tale na taale

Explore this song