Roman script
chaand maddham hai aasmaan chup hai neend ki god mein jahaan chup hai chaand maddham hai aasmaan chup hai door vaadi mein doodhiyaa baadal jhuk ke parbat ko pyaar karte hain dil mein naakaam hasraten lekar ham teraa intazaar karte hain chaand maddham hai aasmaan chup hai in bahaaron ke saaye mein aajaa in bahaaron ke saaye mein aajaa phir mohabbat javaan rahe na rahe zindagi tere naamuraadon par kal talak meharbaan rahe na rahe chaand maddham hai aasmaan chup hai roz ki tarah aaj bhi taare subah ki gard mein na kho jaayen aa tere gham mein jaagti aankhen kam-se-kam ek raat so jaayen chaand maddham hai aasmaan chup hai
Song details
- Singer: Lata Mangeshkar
- Film / album: Railway Platform (1955)
- Composer: Madan Mohan
- Lyricist: Sahir Ludhianvi
- Actor: Sunil Dutt
- Actor: Nalini Jaywant
- Actor: Sheela Ramani
- Actor: Johny Walker
- Actor: Manmohan
- Actor: Raj Mehra
- Actor: Jagdeep
- Actor: Dharmendra
- Actor: Nana Palsikar
Song video
actor: Sunil Dutt, Nalini Jaywant