Roman script

chalo re doli uthaao kahaar

piyaa milan ki rut aai

pi ki nagri le jaao kahaar

piyaa milan ki rut aai

chalo re doli uthaao kahaar

piyaa milan ki rut aai

pi ki nagri le jaao kahaar

piyaa milan ki rut aai

jin naino ki tu hai jyoti

un naino se barse moti

daavaa nahi hai koi zor nahi hai

beti sadaa hi paraai hoti

jaldi naihar se le jaao kahaar

piyaa milan ki rut aai

chalo re doli uthaao kahaar

piyaa milan ki rut aai

pi ki nagri le jaao kahaar

piyaa milan ki rut aai

Explore this song