Roman script

saiyan ji ki jeb se

mile hain sau rupaiya

haat lun khareed saara

haat lun khareed saara

kharchun mein daiya

chali chali re bazaar karane

chali chali main bazaar karane

saiyan ji ki jeb se

mile hain sau rupaiya

haat lun khareed saara

kharchun mein daiya

chali chali re bazaar karane

chali chali main bazaar karane

saasu ko payal jithaniya kho bichhiya

pyari nanadiya ko leke aaun bindiya

debaraa ko sang leke jaun main gujariya

haat lun khareed saara kharchun main daiya

chali chali re bazaar karane

chali chali main bazaar karane

gharho girahasti ki bhari gathariya

munh phaade sursa sa menhgai daiya

laagi naa jane kiski kaali nazariya

naiya majdhar siya ram hain khiwaiya

kaise jaun main bazaar karne

kaise jaun main bazaar karne

bijali ka bill dun ya dun main kiraya

leke takada pansaari ghar aya

aankhon ki ataari se jee ne nindiya utaari

kiski huyi hain jaane kitani udhaari

chali chali main hisab karne

chali chali main hisab karne

Explore this song