Roman script

chale bhi aao kahaan chhupe ho 

sanam hamare

hamare dil ki har ek dhadkan 

tumhe pukare sanam hamare

tumhari yaado se ashq aankho me 

bhar rahe hai

wafa ke moti inn aansu me 

bikhar rahe hai

bata yeh kaise ke 

haal kya hai sanam hamara

tumhare gham me 

na ji rahe hai na mar rahe hai

chale bhi aao kahaan chhupe ho 

sanam hamare sanam hamare

jiye toh kaise bichade ke 

tumse jiya na jaye

teri judai ka zahar 

hamse piya na jaye

har ek mehfil har ek manjil 

hai suni suni

tere bina abb kahi bhi hamse 

raha na jaye

chale bhi aao kahaan chhupe ho 

sanam hamare

hamare dil ki har ek dhadkan 

tumhe pukare sanam hamare

lyrics typed by: neha gupta

Explore this song