Roman script

chal padi suhagini, ghan me jaise damini 
chal padi suhagini, dhan me jsise damini 
amar bhavana liye, atal kamana liye 
chal padi suhagini
man me jiske tyag hain 
tyag me anurag hain 
man me jiske tyag hain 
tyag me anurag hain 
pi se milne ja rahi hain 
piya ki anugamini
chal padi suhagini, ghan me jaise damini 
chal padi suhagini
ek dubte huye ko, mrtyu se ubarne 
apni mang se, parai mang ko sanvaarne 
saty dharm ke liye, saty ki aan ke liye 
saty dharm ke liye, saty ki aan ke liye 
pran pi ko tyagne ek pran ke liye
vrat bada kathin liye, ban ke ye vairagini
chal padi suhagini, ghan me jaise damini 
chal padi suhagini

Song details