Roman script

chal re more manva, shyam ke dware 

chal re more manva, shyam ke dware 

charan kamal me jake rakh de 

apane dukhade sare sare 

chal re more manva, shyam ke dware 

main nirdhan aur lamba path hain 

na koi doli na koi rath hain 

nange pairo chala sudama 

phul ban gye kante sare 

chal re more manva, shyam ke dware 

shyam ke path par, kaal jo aye 

hansh hansh gale lagauu

jag ke ishvar narshingh ki mahima 

ho matwala gaaun 

ho matwala gaaun 

dekh sudama rup badal kar 

aaye mohan payre 

chal re more manva, shyam ke dware 

shehs nag ka rup dekh kar 

yaad aaye girdhari 

ek jaa to kya hain kardu 

sau jane balihari 

kitani dur se lene aye 

hamko shyam hamare 

chal re more manva, shyam ke dware 

o nadiya tufaan utha le 

mil ke rahenge milne wale 

chal re sudama shyam salona

tujhko aaj pukar e

Explore this song