Roman script

sun mere nanhe sun mere munne sunle ek kahani

bahut dino ki bat hai ek tha raja ek thi rani

raja rani ke ghar me tha rajkumar ek pyara

ek ke dil ka tukda tha wo, ek ki aankh ka tara

ek din raja ka man chaha, chal kar kare shikar

nikal pada hoke ek nile ghode pe sawar

aur malun hai wo kya kahata ja rha tha

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

rukne ka tu nam na lena chalna tera kam

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

rukne ka tu nam na lena chalna tera kam

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

chalte chalte uske aage aaya ek pahad

chalte chalte uske aage aaya ek pahad

raja man hi man ghabraya kaise hoga par

itne me ek panchi bola apne pankh utar

pankh bane hai ye himmat ke le or hoja par

pankh laga ke ghode ko raj me daud lagayi

dene lagi hawao me fir ye aawaz sunai kya maa

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

rukne ka tu nam na lena chalna tera kam

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

lekar raja ko ek ban me aaya nila ghoda

lekar raja ko ek ban me aaya nila ghoda

dekh ke ek chanchal hirni ko uske piche dauda

lekin paas jo pahucha to dekho kismat ki karni

rup me us chanchal hirni ke nikli jadugarni

palat le jadugarni ne jadu ka teer jo choda 

tota ban kar rah gaya raja, pathar ban kar ghoda

fie kya huaa maa, fir kya huaa, fir raaja kaise kahata

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

rukne ka tu nam na lena chalna tera kam

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

idhar mahal me rah dekhte vyakul ho gayi rani

rajkumar ke komal mukh par bhi chayi virani

tab ishwar se dono ne ro ro kari pukar

de de hame hamara raja

jag ke palan har re o jag ke palan har

jag ke palan har re o jag ke palan har

sun kar unki vinti dur gagan me jwala ek bhadki

jadugarnini ke sar par ek jor ki bijli kadki

tote se fir nikla raja or pathar se ghoda

rajmahal ki or bhi jor se dauda or bola

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

rukne ka tu nam na lena chalna tera kam

chal mere ghode tik tik tik, chal mere ghode tik tik tik

dekh ke raja ko aate rani phuli na samai

rajmahal ke dwar pe jhatpat daudi daudi aayi

raja aaya raja aaya bola rajkumar

apne hatho se rani ne jakar khola dwar

Explore this song